Monday, September 20, 2021

kona

Kone me baitha main
Dekhta hun dono taraf
Ki jindagi Ki alag alag
Khushiyan hai dono Taraf
Mann dol raha hai ki
Thora idhar bhi bhari
To thora udhar bhi
Aur Mera sharir to bas
Usi Kone me baitha hai

samay

Kaise samjhe samay ko
Ki wo kya hai Aur
Kya chahta hai
Pal pal me beet Jane wala
Samay fir kahan dikhta hai
Naya waqt aata hai Aur
Bas yunhi chala jata hai
Fir se aane wala waqt 
Aur ye ummed dil me
Shayad samajh jaaye 
Hum kabhi is waqt ko

The start

Dhyaan jaroori hai
Lekin khoya rahta hai
Har waqt Har pal
Khojne ki koshish
Aur bas beet jata hai pal
Usi waqt me tha jo beet gaya
Usi waqt me hai jo beet raha
Aur usi waqt me rahega
Jo beet jaane wala hai

prayas

Ek koshish smajhne ki
Kisi ka dukh aur dard
Nhi kar paya lekin haan
Kar diya nirash use 
Badha di uski taqleef
Ki koi nhi hai uska
Ek chhoti si ummeed thi
Aaj wo bhi toot gayi